Ghazal SMS

aa bhii jaao kii zindagii kam hai
tum nahii.n ho to har Khushii kam hai

vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahii.n
shahar me.n aaj raushanii kam hai

jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko
dhuup ziyaadaa hai chaa.Ndanii kam hai

aa_iinaa dekh kar Khayaal aayaa
aaj kal un kii dostii kam hai

tere dam se hii mai.n mukammal huu.N
bin tere terii ‘Yamini’ kam hai

Tags:

Majal ha koi mujh say tujhy juda kr dy
jahan b jay ga tu mein tujhy sada don ga

teri gali main bohat dee sy khara hon magar
kesi ny puch lea tuu jawab kaya don ga

meri khamosh negahon ko chasm_e_num sy na dekh
mein roo para tuu dilon k tabq hela don ga

yunhi udas raha tuu dekhna mein ek din
tamam shehr tanhaiaan becha don ga

ba pas_e_sohbat_e_derina koi bat b kr
nazar mela tuu shai mein tujhy Dua don ga

bulaon ga’na melon ga’na khat lekhon ga tujhy
teri khusi k leay khud ko har saza don ga

ab tuu rat ha kuch deer so hi ly Nasir
koi bulay ga tuu mein tujhy jaga don ga.

Tags:

Kathin he rah guzar thori door saath chalo
buhat kara he safar tori door saath chalo

tamam umar kahan saath deta he
ye jaanta hoon magar’ thori door saath chalo

nashe main choor hoon main b tumhain b hosh nai
bara maza ho agar thori door saath chalo

ye ek shab ki mulaqaat b ghanimat he
kise he kal ki khabar thori door saath chalo

abhi to door hain chirag rahon ke!!!
abhi he door sahar thori door saath chalo

tawaaf e manzil e janaan hamain b karna he
faraz tum bhi agar thori door saath chalo.

Tags:

Jheel Mein Chaand Nazar Aye Thi Hasarat Usaki
Kab Se Ankhon Mein Liye Baitha Huun Surat Usaki

Ek Din Mere Kinaron Mein Simat Jayegi
Tehare Paani Si Yeh Khamosh Muhabaat Usaki

Bandh Mutii Ki Tarah Woh Kabhi Khulata Hi Nahin
Faasale Aur Badaa Deti Hai Kurbat Usaki

Kisne Jaana Hai Badalate Hua Mausam Ka Mizaaz
Usko Chaho Toh Samaj Paaoge Fitrat Usaki

Tags:

Ik Khwab Hay Or Isko Khona Bhi Nahi Hay
Tabeer K Dhagay Main Pirona Bhi Nahi Hay

Lipta Howa Hay Dil Se Kisi Raz Ki Soorat
Who Shaks K Jisko Mera Hona Bhi Nahi Hay

Ye Ishq-E- Mohabbat Ki Rivayat Bhi Ajeeb Hay
Paya Nahi Hay Jisko Usay Khona Bhi Nahi Hay

Jis Shaks Ki Khatir Mera Ye Hal Howa Hay
Usko Meray Marnay Pey Rona Bhi Nahi Hay

Tags:

Kisi ney lakh samjhaya yeh kafir dil nehin mana
Mujhy khud bhi khyal aya yeh kafir dil nehi mana

Dilon ki apni mantek hey dilon ko kon samjhay
Palat jati meri kaya yeh kafir dil nehin mana

Kahin to hijer k jalty safar main mill hi sakta tha
Kisi deewar ka saya yeh kafir dil nehin mana

Hazaaron orr manzer thy tumhary husn sey berh ker
Nazar ka dil bhi lalchaya yeh kafir dil nehin mana

Tags:

Wehshaton ke mor par le aai mujh ko zindagi
Aik pal bhi tere bin na bhai mujh ko zindagi

Mukhtasir se waqt main dekhi bahar-e-arzoo
Char din ko gulsitan main laai mujhko zindagi

Apne hi andar utarnay ka mujhe rasta mila
Tujh se milker de gai gehrai mujh ko zindagi

Justujoo main chand ki, urnay ki koshish kar to lee
Laikin uske baad na raas aai mujhko zindagi

Ab to chunnay hain mujhe yadon ke moti umr bhar
De gai soghat main tanhai mujh ko zindagi

Tags:
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 ... 17
  • Popular SMS

  • Tags

  • Archives

  • Daily Archive

  • Statistics